Ek bar jab koi jeev is duniya me aata hai to iska prabhao paryavaran par avem paryavaran ka us jeev par parta hai. Is prakar
sabhi jeevon se urja ka sancharan avem paryaavaran se urja ka avsosan hota hai jo ek dusre par nirbharta ka dyotak hai. srijan aur vinash uchit parinam ke se saath ghatne wali ek swatah abhikriya hai jo is brahmand me ghatit hote rahta hai. Koi bhi karya akaran sampadit nahi hota hai. Vikas satat avem ashapurna soch ke dwara kiye gaye karyon ka parinam hai. Asafalta hamari kamjoriyon ko darshati hai. Apni kamjoriyon ko dur kar dene se safalta prapt hoti hai. Manushya aur dusre jeev sabhi Ishwar ke samne saman kindue pratispardhi hote hain. Jab ham kisi pavitra sthal par jate hai to hamare ander ki rinatmak socho wali urja ka chaya hota hai aur achi soch ka udbhav hota hai. Gyan hame achhe aur bure ke beech ka bibhed batata hai. Gyan hame sahi raasta dikhane ka ek madhyam hai. Manushya ke pass sabhi jeevon se adhik sochne aur samajhne ki chamta hoti hai. Kisi bhi cheese ke prati lalach hame manushya se janvar ki soch banati hai. Pratyk vastu ka prabhao jagat par aur jagat ka us bastu par hota hai. Per podhe mitti ke apardan ko rokte hain tatha hame jeevan pradan karte hain. Atah yeh paryavaran ke liey ek prathmik vastu hai. Nadi aur vayu ka pradushan aur iska dusprabhao hamare paryavaran par partha hai. Hum dheere dheere shahri shetro ki aur akarshi ho rahe hain parinam shwarup gaon se abadi ka palayan ho raha hai. Iske peeche berojgari aur buri rajniti thatha asuraksha ki bhavna hai. Sampoorn vikas his vastvik vikas hai agar dhan swastha aur avsar me asamanta hogi to ek chanbhangur samaj ka nirman hoga.