.

Times of India

Summary rating: 2 stars 1 समीक्षा
Review by : dhruva
विजिट्स: 99
शब्द: 300
प्रकाशन तिथि: जून 02, 2007
spain mein European Union ke videsh niti  pramukh se  baithak se pahele Iran ke pramukh permanu urga ke pramukh wartakara ne vudhwar ko bal diya ki Iran apna permanu  urga ka kam jari  rakhega.

Ali Larijani, jo ki Iran ki sabse bade rashtriye suraksha parishad  ke sachiv hain aur European Union ke Javier Solana  ek aur varta karenge jo ki iran ke permanu  urga se sambandhit hogi aur baithak madrid mein  guruwar ko hogi. Larijani aur Solana vigat  april 25-26 ko Ankara mein mile the aur kuch saman muddon per thodi pragati hui thi.
"bahiskar ek samadhan nahin hai  permanu mudde ka aur Iran aisa swikar nahin kar sakta" aisa Larijini ne apne daure se pahele kaha. "hamare pas koi sarth nahin hai aur hum koi sarth swikar nahin karenge. humlog Iran ke permanu mudde per chinta ko hatane ke liye taiyar hain"

Iran suraksha parishad ke diye huye samay sime jo ki sath dino ki thi Uranium prapti ko rokane ke liye per khara nahin utar saka. aur muslim des ne is uranium perisanskaran ke kam ko aur badhaya hai ye kahte huye ki unka ye karyekarm urga utpatti ke liye hai.

antarrashtriye permanwik urga ke pramukh sachiv Mohhmad E l Baradei ne vigat saptah mein kaha ki ab bahut der ho chuki hai Iran ko balpurvak Uranium perisanskaran ke kam ko rokane se aur nirikchan ke karya ko prastawit kiya jisse age ke pragati per rok lagaye ja sake.
United States ne Iran ko aur pratib andho ki dhamki di.
Times of India         
कृपया इस सार का मूल्यांकन करें : 1 2 3 4 5


टिप्पणियाँ

Read Free Summaries - Write and Get Paid

Summarize Human Knowledge on Shvoong. Join us!

------

Recent Shvoongers

  • ambalika
  • artemissweety
  • Viram
  • yashaswi
  • checkefe
  • dhruva
  • gomsi
  • Kokosia
  • DrAmarKumar
  • ilesh
  • mrinmoy57
  • SHEELADIXIT

.