Summarize Human Knowledge

.

श्वूंग होम>फिल्म>Film 'Agyaat' ke saath chaliye jungle mein.....

.

Film 'Agyaat' ke saath chaliye jungle mein.....

द्वारा : ambalika    


Film 'Agyaat' ke saath chaliye jungle mein.....
Ab hum samikshaa
karen to kaisi karen?.... film ka naam chaliye, 'Agyaat' rakhaa gayaa hai.... maan liyaa! .... film bhoot-pret, chudail, bhatakati aatmaa vagaira par aadhaarit hai..... yeh bhi koi nai baat nahi hai!..... film mein jungle ki sair karaai gai hai..... yeh bhi fundaa puraana hai!... jungle mein to hum kai filmon ke jaiye pahuch kar waapas bhi aa chuke hai !
.... matalab ki hume kisi bhoot-pret yaa chudail ne jungle mein jakadkar nahi rakha.... agar aisa hota to hum samikshaa likhne ke kaabil bhalaa kaise rehte?.... jaraa sochiye!
..... lekin jaise ki 'Darna manaa hai!' waisehi sochnaa bhi mana hai!.... ab 'Agyaat' ki baat karen to.... is film kikahaani aakhir tak 'agyaat waas' mein hi hume dhakel deti hai!... baahar nikalne ke liye 'Agyaat' bandhan ko tod kar hi baahar nikalaa jaa saktaa hai!
..... waise Jungle mein hsaati nahi hai..... jo aam taur par hoti hai!.... isliye bore hone jaisaa kuchh bhi nahi hai!.....film ki yahi khaasoyat' Ramgopal Verma ne ber-karaar rakhi hai!... inki anya filmon ki tarah yeh film bhi Box-office ki shaan-0-shaukat mein badhotari kar sakti hai..... nahi jee..... jaroor karegi!
..... to fir se Jungle mein jaane ke liye taiyaar ho jaaiye....  lekin gyaat nahi , balki "Agyaat' bankar! 

प्रकाशन तिथि: अगस्त 21, 2009
कृपया इस सार का मूल्यांकन करें : 1 2 3 4 5

Bookmark & share this post

.