Summary rating: 3 stars
1 समीक्षा
विजिट्स
:
194
शब्द:
600
प्रकाशन तिथि: जुलाई 16, 2007
Ek saal ke Ek bachhade ne adtalish murgiyon ko ek mahine men hi khaya. Hai na yeh ek daravana kudrat ka karishma???? Yeh sab huha hai ek chhote se gaun me jiska nam hai Chandipur, jo Calcutta se 145 miles dur hai. Ajit Ghose nam ke ek kishan ke ghar yeh na manne wala hadsa hua. Ajit Ghose ke pas kai gayen aur murgiyan thi. Wo yeh soch kar pareshan tha ki ek hi mahine men uski 48 murgiya gayab ho gayi thi. Usne socha ki aadhi rat ko sayad siyar ya koi jungali janwar uski murgiyon ko uthata hoga. Is liye ek rat usne puri rat jagkar pehra dene ka socha. Adhi rat ko usne jo dekha usase usaki ankhe khuli ki khuli reh gayi. Aisa daravana aur na manne wala wakiya usne apni puri jindagi men pehli bar dekha tha. Usne dekha ki ek sal ka chhota bachhada aadhi rat ko dhire se bahar aya aur murgiyon ko rakhne wali jagah me ja kar ek murgin par hamla karke usko khane laga. Ajit ko apani ankhon par bharosha nahin hua kyon ki gay ko pavitra mana jata hai aur woh shakahari hai. Dusre din Ajit5b gaun ke pashu doctor ke pas gaya aur use sari haqikat batai. Doctor aur kai media wale uske sath aye aur sari chizon ko dekha. News channel walon ne bhi yeh news dikhaye. Yeh news public ke liye chaunka dene wali thi. Doctor ke pas bhi is sawal ka koi bhi jawab nahin tha ki gay jaisa pavitra pashu itana ghatki aur asamanya vartan kar sakta hai. Usne kaha ki sharir men kuch vitamins aur proteins ki kami ki vajah se paltu janwaron men aisa hota hai. Yeh chhota bachhda ab sirf Chandipur men hi nahin par aas-pas ke gaun men bhi charcha ka vishay bana hua hai aur log use dur-dur se dekhne ate hain. Sayad Yahi to KALYUG hai.
Kudrat ka Daravana Karishma के बारे में अधिक संक्षेप