Summarize Human Knowledge

.

.

...... Kya kar rahe hai Raj Thakre?

द्वारा : ambalika    

लेखक : jayaka, ambalika
  ...... Kya kar rahe hai Raj Thakre?
kuchh achchha kar hai ....to kuchh bura bhi kar rahe hai Raj thakre!....
Marathi unaki matrubhasha hai aur woh usaka sanmaan kar rahe hai!...balki aap yeh keh sakaten hai ki Marathi ko bachhane ki jee-tod koshish kar rahe hai Raj thakre!...kuchh bura nahi kar rahe!
 ...lekin is kaam ke chalate kuchh bura bhi ho raha hai!... zagade aur dange-fusaad hona bilkul buri baat hai!...Marathi ko sanmaan dene ki koshish mein Hindi bhasha ka jaane-anjaane mein insult hona bhi bilkul buri baat hai!... to yeh baat Raj Thakre se related ho gai!
...ab aap bataaiye ki Hindi bhasha ko bachane yaa sanmaan dene ke liye kaunsa neta yaa abhineta katibaddha hai?...beshak Hindi ki moti kamaai khane wale abhinetaon mein se koi Hindi ke samarthan mein aage kyon nahi aa raha?... India mein Hinhi filmen number 1 par chal rahi hai....jab ki anya bhashaon ki filmen bahut pichhe chal rahi hai!... TV shows bhi Hindi ka pratinidhitva kar rahe hai....itana sab kuchh hone ke baojood Hindi bhasha par English ka -ek videshi bhasha ka- jordaar prahaar ho raha hai!... Hindi ki pakad kamjor hoti jaa rahi hai....kya aise mein Raj thakre ki tarah Hindi ka zanda uthaane wala koi hai?... yahan Hindi ka mukaabala Marathi, Gujrati yaa tamil Bhasha se nahi hai....balki English se hai!
Yahi haal raha to, Hindi aanewale kuchh varshon mein sanskrit ke verg mein pahunch jaaegi!...tab Marathi yaa anya bharatiya bhashaon ka astitva kitana aur kahan hoga?....to Raj Thakre se shiksha le kar hi sahi, koi damdaar neta aage aaye aur Hindi ki girati saakh ko upar uthhane ka kaam karen!... Hindi ka astitva bana rahega to saath saath anya bharatiya bhashaon ka astitva bhi avashya bana rahega!

प्रकाशन तिथि: सितम्बर 30, 2008
कृपया इस सार का मूल्यांकन करें : 1 2 3 4 5

Bookmark & share this post

.