.
Fact file-1
-
Summary rating: 4 stars
(5 समीक्षा)
-
विजिट्स : 155
-
शब्द:900
-
Comments
:
0
निम्नलिखित भाषा से यह संक्षिप्त लेख अनूदित हुआ
Fact file
- Janam ke samye bacche me 300 haddian hoti hain umr badte badte inme se 94 aapas mein jud jati hai. Hamare
hath aur kalai mein kul 27 haddian hoti hain.
- Hamare shareer mein paradhvanik trangen chalti hain jo antrik angon se takrakar vapis ati hain. Ek screen paravartit dhwani ko chitr ke roop may pradarshit karti hai.
- upapchaya (Metabolism) prakriya dwara Bhojan ke jatil ghatakon ko toda jata hai.
- Basant ritu mein paragano dwara hone wali allergy ko hey bukhar bhi kehte hain
- Tairaki ke liye bahoot si manspeshion kamm aati hain lekin tanav nahi hota hai.
- Hamen vyayam se pahile aur baad mein manspeshion ko kheenchna chaiye isse shareer mein lactic ammal saman roop se vitrit ho jata hai
- Pyaj ko jab kata jata hai to usme se ek jalanseel padarth nikalta hai. Ek tail jismen gandhak hoti hai ankhon mein jalan paida karta hai, jisse hamari ankhon se ansoo niklte hain.
- Kaile turant urja ke strotr hain, kyonki shareer inhe jaldi se pacha leta hai. Pake huye kaile se ek prakar ki gas nikalti hai jo dusre falon ko pakane ke kaam ati hai.
- Ladybird jise hindi mein saunpankhi kehte hain bageechon ke liye laabhdayak hota hai. Yehe paudhon aur phoolon ko nuksan pahuchane wale aphids ko khata hai.
- Maindak ki ankhein iske sir par upper ki aur sthit hoti hain taki veh parbhaksion se sachet reh sakai.
- Murgi ek tarahan ki awaz nikalti hai jisse uske bacche ek jagahan ruk jate hain aur doosri awaz mein wo ek jagahan ikkathe ho jate hain. Aisa bacchon ko khatre se sachet karne ke liye kiya jata hai.
- Cheel (baz) bhojan ke liye apni tivra dristi par nirbhar hota hai. Isliye iski ankhen is prakar sthit hoti hain taki usai ek trivimiye dristi mil sakai.
- Shaturmurg ki ankhain tennis ki gendon se bhi badi hoti hain! Unka ek undda murgi k ek undde se 24 guna bada hota hai. Is undde ka khole itna majboot hota hai ki agar hum is par khade bhi ho jayen to be yehe nahi tutega.
- 3 meter lumbba aur 100 varshon tak jivit rehne wala Komodo dragon, ek maatra jivit dragon hai.
- Lal bhediye ki prajati sun 1980 mein vilupt ho gayi, lekin kuch matra mein banddi bana kar rakhe gaye in bhediyon ko prajnan karakar lupt hone se bachaya gaya. Ab inki sankhya 200 ke kareeb hai.
- Bhaloo ke daant unki shehad pasand karne ki aadat ke karan nasht ho hate hain. Ye shehad ko madhumakhhi ke chhaton se churate hain.
- Cheetah ka angreji nam leopard, leopardus se pada hai jiska aarth dhabbedar sher hota hai.
- Prachur Varsha Vano me podhon aur janvaron ki 20 lakh se jyadan prajatiyan payee jati hain.
- Hamster naam ka ek zanwar apne sir ke dono aur ki thailion me bhojan sanchy karke rakhta hai.
- Computer mein electronic paripath hote hain jinse ye jatil se jatil kaam pura kar sakte hain aur yeh unke sochne jitna hi hota hai.
- Nabhikiya sanyantra mein uranium aur plutonium ka vikhandan hota hai jis se atyadhik matra mein urja mukt hoti hai
- Pawan chakki (wind mill) ka niyam prachin kaal se jana jata hai, iska pryog pani khinchne ke liye kiya jata tha.
- Aurora borealis dhruvon par akash mein ban ne wali ek vishes prakar ki akrati ko kahite hain, iska nirman surya ki sateh par aane wale tez tuffano se paida hone wali chumbakiya urja ke prithvi ke uppari vayumandal se takrane se hota hai.
- Petrol ki saranchna mein Carbon tatha hydrogen ek vishes prakar se jude rehte hain.
- Jangrodhi Ispaat (aisa steel jisme jang nahi lagta) mein bahut kam matra mein nikel aur chromium tatve mishrit rehte hain.
- Ispaat (Steel) aur manganese ke ayaska railway ki patri banane ke kaam ate hain
- Hovercraft vayu ke gaddon par sawar hokar chalta hai. Yehe samtal satah wale pani ke zahaj jaisa dikhta hai aur bade pankhon dwara chalta hai.
- Surya ghadi ke avishkar ke baad se antrik samya pranali ka udbhav hua, jaise raitghadi, jalti mombatti se samaya ka pata lagana. Sahi samaya jan ne ki avashyakta ne hi aadhunik ghadi ke avishkaar ko protsahit kiya.
- Aadhunik Ghadiyan ankiya hoti hain, inme ek paripath hota hai jo ugmak bhasha ke sanketon ko grahan karta hai.
- Ek Itali ke vagyanik ne ek ghatna se yeh pata lagaya ki bizli garazte samya yadi maindak ki tangon ki nus dhatu ki kainchi ke jode se sampark me aa jati hai to wo tangon ko jor se jhatakta hai.
- Ek ameriki vagyanik, kavi, aur rajnitigya Benjamin Franklin ne tadit chardon ka vikas kiya jo imarton ko bijli se bachati hai.
- Pythogoras pramaya ka pryog Pyramid ke nirman mein kiya gaya hai.
- Manal grehe pathrile rait se ghira rehta hai jisme auxikrit lohe bahutayat se paya jat ahai. Iska gandhla lal rang atyadhik lohe ke jamav ke karan dikhai deta hai. Is grehe par pani aur auxigen lohe ki jang ke roop me vidhyaman hai.
- Kai ulkapind pritvi se takra chuke hain aur vagyanik vishvas karte hain ki isi prakar k ek takkar se 6500 lakh varsh purva dinosaur vilupt ho gaye.
- Krishna chidra ya black hole ek chidra nahi hai balki ek bahut saghan pind hai. Is se prakash bhi paravartit nahi hota hai.
- Indonesia mein sun 1833 mein Krakatau ke prakop se do tihai dweep nust ho gaya.
प्रकाशन तिथि:
जुलाई 28, 2008
इंटरनेट & प्रौद्योगिकी पर अधिक