Summary rating: 1 stars
1 समीक्षा
विजिट्स
:
279
शब्द:
300
प्रकाशन तिथि: जनवरी 20, 2008
http://www.books.google.com aisi website hai jo aapko unki site par di hui kisi bhi kitab ko khol kar uske kuchh panne padhne ki ijazat deti hai. to yeh kis tarah se upyogi aur anoodha hai apne adhunik takniki andaz mein? aap website khol kar kitaben dhoondiye, kitab ke putthe screen par hai, sari jankari kitab ke pas hai jaise ki kimat aur shirshak, lekhak, kab chhapi thi. Site ke panne rangeen aur padhne aur samjhne mein saral hain.jo saral tarike yeh site prastut karti hai woh sabkuch kah dete hain, kyonki tarike itne saral hain ki koi bachchha bhi samjh le, jab aap us kitab ko dhoondh rahe hain jiske panne aap kholna chahte hai aur khardne se pehle janchna chahte hain. 1. un logon ki madad karti hai jinhe padhna pasand hai aur padan samagri ke liye behter chayn kar sakte hain. 2. un bure faislon ko dur karta hai jo kam umar ke bachchhon ko aise kuch padhne dein jo adhrmta se bhara ho.3 woh aisi kitabon ko promote karti hai jinki bikri bahut ho rahi ho ya ho chuki ho.4. aisi samgri par kam kharch karna jo jyada upyog ya padhne mein nahi aane wali. 5. halanki kafi logon ko kitabon par jyada paise kharch karne mein koi takleef nahi hoti ya buri kitab khardine pe parwah nahi hoti phirbhi kuch log hain jinhe takleef phi hoti hai aur parwah bhi. aise log jo samaj surksha aur viklangta se jude hon.
http://www.books.google.com के बारे में अधिक समीक्षाएं