Dhwani Pradooshan per to jaise kisi ka dhyan hi nahi hai !
Summary ratings: 3 stars
(xx voters)
विजिट्स:
19
शब्द:
900
प्रकाशन तिथि: मार्च 01, 2008
PRADOOSHAN BADAAO-PRADOOSHAN HATAAO Aaj pradooshan bahut badi samasya hai jise door karne ke liye sarkaar kya kar rahi hai (?), pradooshan nivaran ke liye aayog gathe gaye, kai niyam-kanoon banay gaye, Par naticha tthan-tthan gopal. Vastav main pradooshan hatane ki baat kahna Pajama udhed kar seena hai. Bharat prakratik sampadaon ka khajaza hai, lekin vikas ki taraf badte kadamon ne hare-bhare jangal kaat diye, bade-bade pahaad tod diye. Prakriti se chhed-chhaad karne ka natiza hai – Ozone layer mai chched jo bahut hee hanikarak hai . Viksit deshon kee line main khade hone aur apni swarth poorti ke liye kai badi-chchoti factriyan chalane ki izazat de dee, bina yeh soche ki udpadan ki raasaynik kriya se kya apshishtha nikal rahe hain, uska nikaas kahan hai – uska pani, mitti ya vaayu par kya prabhaav daal raha hai. Iska jwalant udaharan hai Bhopal Gas-trasdi jo duniya kee badi rasaynik trasdiyon main ek hai. Yeh trasdi Union Carbide Factory ke kaaran hui jo Bhopal shahar ke bichon-beech sthapit kee gai tthi. Halaki jab yeh factory bani tab wo area shahar ke bahar tha lekin vikas ko dhyaan main rakhkar yeh sochna chahiye ttha ki jab shahar viksit hoga tab yeh factory shahar ke ander aa jayegi. Is trasdi main hazaron logo kaal ke gaal main chale gaye. Gusse main log Alderson ka virodh jatate hain lekin us samay kee sarkaar ko koi zimmedar nahi batata. Vaayu-Pradooshan ka doosra bahut bada karaan hai vahanon kee bheed. Jansankhya ke sath-sath vahanon ki sankhya main bhi vridhii hui. Vahano ka upyog galat nahi hain, lekin achcha rakh-rakhaav nahi hone se jo dhua ye vahan chchodte hai wo atyant hanikaraak hai. Is aur sarkaar ko jitna dhyan dena chahiyr utna de nahi rahi. Uska dhyaan to vahanon kee bikri par hai. Dhwani-Pradooshan par to kisi ka jaise dhyan hee nahin hai. Gaadion ke cheekhte horn sadak par chalna mushkil kar dete hai. Aur D.J. ka avishkaar to gazab hee dhaa raha hai! Shadi ho ya party, ya holi, diwali ya koi aur programme D.J. hona bahut zarrori hai. Raat-raat bhar DJ ka zoron se bajna phir sath main nach-gaana. Is tarah ka shor to jaise ek samajik reeti ban gai., DJ mangane walo ko koi pharak nahin padta ki mohalle main kisi kee neend kharaab ho rahi hai, kisi kee tabiyat bigad rahi hai ya kisi ke ghar main gami ho gai hai! DJ mangane, nachne –gaane walon ko kya parvah! Pariksha ke dino main is tarah ke shor par pratibandh lagaya jata hai lekin koi nahi manta. DJ ka shor itna khatarnaak hai ki yadi koi (sangeet pasand ya napasand karne wala) 10 minute DJ ke paas khada ho jaye to mahsoos karega ki Dil bhari hone lagta hai, dhadkan barh jaati hai, dimag kaam nahi karta. In sabse ek tarah ka tanaav paida hota hai jo baichaini paida karta hai jisse kisi ko bhi high ya low blood pressure ho sakta hai, Heart attack bhi ho sakta hai. Sangeet ek khas swar (Ooncha ya neecha) se suna jata hai tabhi madhur lagta hai varna to wo shor ban jata hai. Ek udahran hai Polythene bags ka! Pahle kagaz ki thailiya hataakar polythene ki thailiyon ki factoriyan lagai gai. Jab ye thailiya janwaron ke pet main jakar nuksan pahunchaane lagi to in par pratibandh lagaakar phir se kaga ki thailiyon par aa gaye. Tow.. log to kuchch bhi karenge. Pradooshan par niyantran karna ham sab ki naitik jimmedari hai. Apne aas-paas ki hariyali ko banay rakhain, paani ko swachch kar upyog Karen, Vahanon se dhua na nikalne dain, Bahut tez horn na bajain, madhur sangeet hee sune.