श्वूंग होम > कला > लेखन  > Manushya ka jeevan Satyam-Shivan-Sunderam

.

Manushya ka jeevan Satyam-Shivan-Sunderam

Summary rating: 5 stars 1 समीक्षा
लेखक : Dr. Renu Rai
Summary by : RenuRai
विजिट्स: 36
शब्द: 300
प्रकाशन तिथि: फरवरी 22, 2008
MANUSHYA KAA JEEVAN : SATYAM-SHIVAM-SUNDERAM Manushya Ishwar ki sabse sunder rachna hai. Janma aur mrityu ek adbhut ghatna hai jiska rahasya aaj ke vaigyanik yug main bhi rahasya hi bana hua hai. Manushya ka janma uske prarabdh ki niyati hai. Hamare Dharmik granthon ke anusaar pratyek manushya ka jeevan uske pichchle janmoan ke karmon par aadharit hota hai jiska phal use is jeevan main bhogna padta hai. Jab tak karma aur phal baraabar nahi ho jate tab tak janma-mrityu ke bandhan se chchutkara nahin milta. Chchutkara yaa bandhan Ishwar ke haath main hai. Manushya-jeevan saada jeevan uchcha vichaar par adhaarit hona chaahiye. Aadambar manushya ko apne uddeshya se hataa kar jeevan main bhatkaav paida karta hai. Manushya prayah zindagi bhar baichain banaa rehta hai aur ant tak jaan hee nahin pata ki aakhir use chahiye kya? Uske jeevan ka uddeshya kya hai? We poora jeevan ek bhram mai bita dete hain jiske kaaran we apni kshamta aur shakti se anbhigya rahte hain. Kuchchc manushya is anbhigyata ke kaaran mansik girawat bhogte hain to kuchch manushyon ko is anbhigyata se ek roshni ki kiran milti hai jo unke jeevan ko prakashmaan banaa deti hai.Manushya ka janma aur mrityu ek aisa Satya jise ooper wala bhi nahi nakaar sakta. Janma se mrityu yaani bachpan se vridhdhavastha ke beech ek lambaa samay hai. Vastav main ye samay hee prarabdha ka aur hamare karmon ka darpan hai. Jeevan main utaar-chadaav, sukh-dukh, haar-jeet, beemari-begari roopi zahar hain, jinhe, manushya yadi apni niyati samajhkar bina baichain hue pee jaye to mano wah Shiv ban gaya. Jeevan ke sukhon aur dukhon kaa vigyan jis manushya ko samajh main aa jaye use jeevan jeene ki kala aa jati hai, use jeevan main tatastha rehna aa jata hai aur yehi tatasthata uske jeevan ko Sunder banaa deti hai
कृपया इस सार का मूल्यांकन करें : 1 2 3 4 5


टिप्पणियाँ

Read Free Summaries - Write and Get Paid

Summarize Human Knowledge on Shvoong. Join us!

------

Recent Shvoongers

  • ambalika
  • artemissweety
  • Viram
  • mrinmoy57
  • DrAmarKumar
  • checkefe
  • dhruva
  • gomsi
  • Kokosia
  • yashaswi
  • SHEELADIXIT
  • ilesh

.