article
Summary ratings: 3 stars
(xx voters)
विजिट्स:
132
शब्द:
300
प्रकाशन तिथि: अक्तूबर 16, 2007
Ek film aayi hai "Chak de India"...bohat dino baad aisa laga
Jis tarah registaan ki tapti rait ke beech thandi hawa ka jhonka aata hai .
No koi Baare naam,na zyada lagat magar safalta ki saari sthapit maanyataaon ko
tor kaar achanak hamari chetna ko jhakjhor kaar jis tarah logo ke dilo mein isne jagah banayi hai woh avishwasniya hai.Aaj ka vyavsaayic duniya jo vigyapano per poori tarah ashrit hai uske liye yeh ajoobe se kaam nahi ki jis Fim ka prachaar bhi adhik nahi hua tha woh saabse aage nikal kaar khari kaise ho gaayi ?
kaaran baaas ek hi hai ...agar koi cheez hamari sachhi aur komal bhavnaao ko chooti hai to woh hamare dil mein ghar kaar leti hai..
yeh film sirf desh ke samman ko ooncha rakhna ka sandesh hi nahi deti baalki uss se barh kar ek kraantikaari vichaardhara ko sthapit kaarti hai jo samaj ki isss maanyata ke khilaaf sir uthaa ke khaari hai ki LARKIYA KUCH NAHI KAAR SAAKTI ...Yeh Haamse kehti hai ki Larkiyo ko woh mahatwa do jo samaj ne unse abhi taak cheen ke rakha tha...yeh haamse kehti hai ki iss purush pradhaan samaj mein
larkiya bhi sir utha ke khaari ho saaakti hai...yeh kehti hai ki sirf purush ko NA kehne ka adhikaar nahi hai ..Yeh hamari pracheen saanskriti ke uss hisse ko jeewant kaarti hai jahan naari ki Pooja ki jaati thi...aur iske liye Film ke Producer aur Director ko sadhuwaad dena parega jo ki khud Purush hain.