.

Ruk jaana nahi,tu kahin haarke..

Summary rating: 4 stars 1 समीक्षा
लेखक : Aryahi
Summary by : Aryahi
विजिट्स : 581  शब्द: 300   प्रकाशन तिथि: दिसम्बर 30, 2006
Shaadi se pehle,mere mataji ko ek Raj(kalpnik naam) namak vyakti se pyaar tha.Lekin,daulat ke faasle,jaat-paat ka bhed bhav aur prem vivaah ke prati us zamane ke rok-tok ke wajah se unhone apne bhavnao ka zikar, ya pyaar ke bare me kise se kuch nahin kahan.Un dino Aurton ki rae ya soch ka koi maine nahin tha.Natija ye, ki mere mataji ko mere Pitaji se, prathayon aur riwajon ke hisaab se,apne icha virudh, shaadi karna pada.Aaj,itne salon ke baad,ye ghatna dubaara unki beti yani ki mere saath dauraya ja raha hai. Main sache dil se,pichle ek saal se,Shawn(kalpnik naam) se pyaar karti hoon aur unse vivaah karna chahti hoon aur akhri dam tak unka saath nibhana chahti hoon. Mujhe dar hai ki kisi aur se shaadi ke paschat main khus nahi rah sakti aur ek zindaa lash ban jaoongi. Mere saare bhavnao ka dam ghut jaaega. Mere is soch ka yeh wajah hai,ki aaj bhi jab main kisi aur mard se baat karti hoon to main apne aap ko bewafa mehsoos karti hoon.Mere is kahani ka sabse dard bhari baat yeh hai ki Shawn aur mera rishta ab khatm ho chuka hai. Ham ab do alag rahon par chal pade hai.Mera pyaar ab kewal mere online blog aur mere mataji tak hi simit hai.Shawn ab mujhse baat tak nahi karnaa chahte hai.Pata nahi woh apna yeh maun vrat kab todkar,ek baar phir se mujhe apne karib,apna dost banaenge.Agar Shawn aur meri shaadi ho jaati hai, to mere liya isse badi khushi ki baat aur koi na hogi.Lekin agar meri shaadi kise aur purush se ho jaati hai,to main zindagi se haar maankar jaan nahi doongi,kyonki atmahatya karna paap hai aur main kamzor bankar yeh paap nahin karoongi.

Ruk jaana nahi,tu kahin haarke.. के बारे में अधिक संक्षेपण
Ruk jaana nahi,tu kahin haarke..  द्वारा  Aryahi  na   
कृपया इस सार का मूल्यांकन करें : 1 2 3 4 5


अपनी टिप्पणी जोड़ें कोई टिप्पणी नहीं

टिप्पणियाँ

Read Free Summaries - Write and Get Paid

Summarize Human Knowledge on Shvoong. Join us!

------