.

Article

Summary rating: 2 stars 20 समीक्षा
लेखक : Gunjan Sharma
Summary by : Kusum Nautiyal
विजिट्स : 841  शब्द: 900   प्रकाशन तिथि: अक्तूबर 03, 2006
निम्नलिखित भाषा से यह संक्षिप्त लेख अनूदित हुआ Article
Prakash Ka Utsav- DiwaliBhartiya tyohaar Diwali ka arth hai jagmag jaltedeepon ki malayen. Bharat main diwali prakash ka parva mana jata hai.Diwali ke din saara desh depon ki roshni main jagmagata hai. Gareeb ho ya ameer sabhi apne apne gharon ko deepak aur mombattiyon se sajate hain.Depon ka yah sunder tyohar vastutah agyanta ke andhere par gyan ki roshni ke prateek ke roop main manaya jata hai.Kyoki Dewali desh ka sabse bara tyohaar hai atah log Dewali par ek doosre ko shubhkamna sandesh bhejte hai.In shubhkamnaon ke saath mithaiyan aur sukhe meve bhi ek doosre ko diye jate hain.Diwali ka yah tyohaar yug yugon se manaya ja raha hai aur pratyek varsha aur bhi adhik utsah se manaya jata hai.visva bhar main Diwali parivar aur mitron ke saath manaya jata hai.Yah vah sama haota hai jab ateet ko yaad karke bhavishya ko sunder banaya ja sakta hai, shayad ek aisa sansaar jahan sab sadbhawna se saath saath rahein.Vishwa main diwali ka manaya JanaThailand main Diwali Thailand maain vividhta vahan ke niwasiyon ki soch darshati hai jo uneh sansaar ki vibhinn sanskritiyon ka samman karna sikhati hai.Thailand maaaaaaaaaaain Diwali october-November mah main Lam Kriyong naaam se manayee jati hai.Kele ke patte ke diye banaye jate hai jinke ander sikke aur sugadh rakhi jati hai.Australia main Diwali Hind Mahasagar ke ek sunder dweep Australia main lagbhag 100000 bhartiya base hue hain jo Hindu dharma ko manane wale hain.Kush bhartiya jo abhi haal hi main aye hain ve ucch varg se sambandh rakte hain.Hindu ki bahut adhik sankhya hone ke karan yahan Diwali bahut utsah sr manai jaati hai.Deepak jalayejate hain.Diwali manane ke liye uchit samagrina milane ke kara ya kisi aur karan se yah tyohar prabhavit hua hai aur ismen adhunikta ka rang aa gaya hai.Singapore main DiwaliSingapore main yadi koi tyohaar jo logon korashtriyata aur dharma se upar uth kar bandhta hai to vah hai Diwali.Singapore main Hindu paramparagat roop se Diye jala kar aurmombattiyan saja karDiwali manate hain.Jaise jaise raaat hoti jaati hai yah nazaara aur bhi sunder hota jata hai.Tyohaar ka yah utsah sab aur khushi ka vatavaran bana deta hai aur sabhi singaporevaasi is khushi ka anand uthate hain.Neeti ke roop main patakon ki bikri nahin hoti. Isse dhwani pradushan ko roka jata hai.Kewal phooljhariyan kharidi ja sakti hain.Singapore main 18 se adhik mandir hain aur yahan pooja karne ki parampara hai.yahn ka vatavaran bilkul ghar ka jaisa ho jaata hai aur bahar se aane wale log bhi aasani se ghul mil jaate hain.yaha par ek Tamil muhavara yaad aata hai "Yaadhum Oore Yaavarum Kelir" arthat harek desh mera apna desh hai aur har vyakti mera parivar ka sadasya.South Africa main Diwali South Africa Africa Mahadweep ke dakshin kone main basa hua hai.dakshin Africa ki sanskrity bahut si sanskritiyon ka mishran hai. ek dashak pahle tak Sanyukta rastra America ke colonizaton se pahele yahan Apravasiya Bhartiya sabse adhik sankhya main the.Lagbhag 65% Hindu15% Muslim aur 20%christians yahan rahate hain.Hinduon ki bahutayat hone ke karan yahan hindu tyohaar adhik manay jaate hain.Yahan Diwali pramukh Tyohaar mana jata hai.Yahan ki Diwali bhi Bharat ki tarah hi hoti hai.Adhiktar Bhartiya uttar Pradesh Gujarat aur Tamilnaadu se hain jo Hindu dharma ki vividhtaon ka palan karte hue rah rahe hain.Malasiya main DiwaliMalasiya main rahane wali sabhi jaatiyan Diwali manati hain.Vishva ke anya hisson main Diwali utni bhayata aur mauj masti se nahin mana pate kintu Malasiya main bharat main manai jane wali Diwali ko yaad kiya ja sakta hai.Diwali main Bhartiya Malay aur Chinese logon ko apne ghar amantrit karte hain. Is din Malasiya main Sarvajanik avakaash rahta hai.Log apne se bare logon ko milne jaate hai.malasiya main patakhe jalana mana hai.Japan main DiwaliUgte surya ke desh Japan main bhi Dewali manayee jaati hai jis se sukh sampannnata pragati aur deerghayu prapt hoti hai.Yahan Bharat se alag tarah se Diwali manai jaati hai.Yahaan log gharo se bahar bageecho mein lalten aur haathse bane hue structures peron ki tahaniyon par taangte hai.Britain main DiwaliBritain main Bhartiya jaatiya alpasankhyak ke roop maindoosre sthan par hain.Apne tyoharon ko na mana pane ke bhawana se mukta haoe ke liye yahan ke bhartiya adhiktar tyohaar manate hain.Bharat ki tarah hi britain main bhi Diwali main Ghar ki saaf safai ki jaati hai.Log naye kapre pahente hain aur ghaorn ko roshni se sajaya jata hai.Britain ka Leicester city Diwali manane ke liye prasidh hai.

Article के बारे में अधिक संक्षेपण
Article  द्वारा  Gunjan Sharma     
कृपया इस सार का मूल्यांकन करें : 1 2 3 4 5


अपनी टिप्पणी जोड़ें इस सारांश में कुल टिप्पणियां: 1

टिप्पणियाँ

  1. diwali

    varsha

    10 सितम्बर 2007

    very helpful!!!!!!thanks a lot!!! :)

Read Free Summaries - Write and Get Paid

Summarize Human Knowledge on Shvoong. Join us!

------