jism marte hain, khawab marte nahi
aap kyun mera yakin karte nahi
maa ki aankhon me beti ki shadi ka khawab
beta bda aadmi bane, ye pita g ka khawab
pote-potion ko khilana dada g ka khawab
pote ki shadi dekhoon , hota hai ye dadi ka khawab
aarzoo marti nahi, khawab marte nahi
aap kyun mera yakin karte nahi
hote hai dadi-nani ki kahaniyo me khawab
bhut lazmi hai zindgani me khawab
chupe hote hain har iafj har mani me khawab
ye khawab apne dilon, apni sanson ki tarha
reza-reza hokar bikharte nahi
aap kyun mera yakin karte nahi
khawb, rosini or hwa ki tarha hote hain
khawab, azad mizaz khushbuon ke jhonke hain
manind-e-waqat ye bhi kahin taharte nahin
aap kyun mera yakin karte nahi
khawab prerna hain, khawab satrot hain
har hakikat, hakikat se pahle
samjho ek khawab hi hota hai
socho! Chand par jane ka agar
hamare zahan me koi khawab nahi hota
To ham kabhi chand par utarte nahi
aap kyun mera yakin karte nahi
Dr.Anuj Narwal Rohtaki 09354825924
KHAWAB के बारे में अधिक संक्षेपण