.

Hamara Dharm

लेखक : Sushri Leela Rai
Summary by : RenuRai
विजिट्स: 51
शब्द: 300
प्रकाशन तिथि: फरवरी 18, 2008
HAMARE VICHAAR SUKH-DUKH KE KAARAK HAIN             Prithvi ek rasaynik pind hai aur is par rahne wale manushya prithvi ke paanch tatvon se milkar bana hai, isliye in doono main hi rasaynik kriyaen barabar chalti rahti hain. Janma se lekar mrityu tak manushya kya pratyake jeev ke shareer ki banavat aur manushyon ke jeevan ke sukh-dukh, laabh-haani, achcha-bura, haar-jeet sab kuchch in kriyaon ka hi natija hain.

            Pratyek kriya ki pratikriya hoti. Is prikriya kaa phal kai guna hokar samne aata hai. Jis tarah ki kriya hogi uski pratikriya aur phal bhi vaise hi hoga. Jaise hamne kutte ko cheda to wo hame katega jiske liya hamain injection lagvana padenge aur kai din tak uska dard sahna padega. Matlab aapne sirf kutte ko cheda aur uski parikriya kitni guna jyada ho kar aapko kitna pareshaan kar gai. Aksar log yeh kahte hain ki ham jo chahte hain wo hamain nahi miltata, bas yahi vichaar unki ichcha poori hone main baadhak hota hai. Hame jo pana hai ham nirantar us ke bare main yadi sakaratmak soch rakenge to yahi sakaratmak soch kai guna pratikrit hokar hame apne lakshya par pahuchayegi, isme koi shak nahi hai aur yeh aajmaya hua hai. Isi tarah galat yaa nakaratmak vichaar hame usi tarah ka parinaam date hain jise ham dukh yaa pareshaani kahte hain.             Inhi achcche-bure vichoron se prerit hokar ham jo bhi karte hain unhe karma kahte hai. Ramayan main Tulsidasji koi bhi manushya kisi ko na dukh deta hai aur na hi dukh deta. Sabhi manushya apne-apne karmo ka phal bhogte hain chaahe wo is janma ke hon yaa pichle janma ke.             Ham sabhi sakaratmak soch ke saath jo bhi Ishwar se mangange, nishchit roop se hame wo milega aur ham sukhi honge, kyunki sakaratmak soch wala manushya kabhi kisi ka bura nahin sochta
Hamara Dharm  द्वारा  Sushri Leela Rai    2008 
कृपया इस सार का मूल्यांकन करें : 1 2 3 4 5


टिप्पणियाँ

Read Free Summaries - Write and Get Paid

Summarize Human Knowledge on Shvoong. Join us!

------

Recent Shvoongers

  • ambalika
  • artemissweety
  • Viram
  • mrinmoy57
  • DrAmarKumar
  • checkefe
  • dhruva
  • gomsi
  • Kokosia
  • yashaswi
  • SHEELADIXIT
  • ilesh

.