Summarize Human Knowledge

.

.

Surya Ki Tivra Drishti

द्वारा : Devanshu    


निम्नलिखित भाषा से यह संक्षिप्त लेख अनूदित हुआ Sharp Eye on the Sun

Kisi vastu ka hum jitna jayada se jayada garam hone ka anooman laga sakte hain surya usse bhi jayada garam hota

hai, lekin yehe hamara sabse najdiki tara hone ke karan bahut aashcharya ki baat nahi hai. Vastav mein chakit karne wali baat to yehe hai ki surya ka bahari vayumandal ya corona iske sateh ki tulna mein atyadhik garam hota hai. Yeh vaisa hi hai jese ki kisi jwala ke upper ki vayu swayam jwala ki tulna mein garam hoti hai. Jese jese hum kisi garam strotr se door jate hain tapmaan girta jata hai.


Hinode namak ek antriksh yaan ne aankre ekatra karne shuru kar diya hai taki surya sambandhit vichitrtaon ko aur adhik vistar purvak jana ja sake.


 Japan, Great Britain tatha United States ke aapsi sehayog dwara prakshepit kiya gaya Hinode Surya sambandhit dau prakar ki soochnao ko ekatra kar sakta hai. Sath mein aadha meter chaudi drihsya-prakash doorbeen bhi hai jo ki surya ki sateh ke chitter leti hai. Yehe abhi tak ki sabse badi saur-doorbeen hai joki antriksh mein bheji gai hai. Hinode me ek xray doorbeen bhi lagi hai joki surya ke corona mein garam gason ka pata lagati hai. Yehe xray doorbeen 10 lakh se 40 lakh Kelvin tak taapman wale utsarjan ko record kar sakti hai. ( 273.15 kelvin tapmaan 0° Celsius ya 32° faharenite  ke barabar hota hai.) kisi sansuchak ke liye taapmaan ki yeh seema asadharan roop se bahut badi hai, iski yahi vishisthta corona ke shant ke sath-sath atyadhik garam aur ugra lakshano ko bhi anubhav karne ke liye saksham hai.


Upprokt pradarshit chiter Hinode ki xray doorbeen dwara 28 oct. ko liya gaya tha, isme kuch mahatvapoorn lekh xray ke chamkile bindion ke roop mein hain. In mahatvapoorn lekhon mein chumbkiya fandon mein garam gas jakdi rehti hai. Xray ke in chamkily binduon ki jaanch dwara vagyaniko ko yehe pata lagane me sahayata melegi ki surya ka corona itna garam kaise ho jata hai. Ve is baat ka sapasht chiter bhi prapt kar sakte hain ki chumbkiya shetra kis prakar se corona ko prabhavit karta hai.


Hinode jiska aarth japani bhasha mein surya ka ugna hota hai, abhi bhi khoj mein vayast hai. Surya ke rehesyon ka pata lagane ke liye December mein is antriksh yaan ne apna teen saal ka mishion shuru kiya.


प्रकाशन तिथि: जुलाई 29, 2008
कृपया इस सार का मूल्यांकन करें : 1 2 3 4 5

Bookmark & share this post

.