Chaar saheliyaan...
Chaar dishaayen!
hum thi bachpan ki saheliyan...
Ena, Meena, Nitu aur Geetu...
chaaron sunder, sushil aur bholi-bhaali,
chanchal.... jasi varshaa ritu....
Ena ko
thoda ghamand tha apni beauty par,
shaadi karke jawaani ko nahi karnaa titar-bitar....
uski thi kuchh aisi hi thinking yaaron,
so woh chal padi apne raste ban-sanwar....
Meena thi gussail kismki chhataanki ladki,
usane shaadi to kar lee, fir le liyaa talaaq jald hi....
fir dusari shaadi bhi rachaai, dhoomdhaam se,
fir bachchaa hote hi pati se banaali lee doori, jald hi....
Nitu thi saavle rang ki, samazdaar yaamini,
shaadi ki, pati ko parmeshar maana usne....
pati ki jyaadatiya sehkar, aankhonmein aansoo liye,
chehre par muskarahat banaai, jeevan safal banaaya usne....
Geetu ki kahaani alag hai kuchh aisi,
dhyaan se sunoge to us jaisa kabhi na banoge yaaron....
har baat ko dil par lagaane waali, jyaada sochne waali ladaki thi,
ek din kisi baat ko itanaa man par lagaayaa yaaron....
aatmahatyaa kar lee apane se naaraaj hokar 'Oh God'
galat kadam uthhayaa, baad mei pachhataai bhi....
lekin samay haath se fisal gayaa tha...reh gai thi ab aatmaa shesh,
ab bhatkane ne ke siwaay koi nahin tha chaara bhi....
aaj bhi bhatk rahi hai, kabhi yahan kabhi wahan,
mai jaanti hun achchhi tarhaase use .....kyonki.....
Geetu to mai hi hun- woh galat ladki- sach maano,
meri galti bhi ab yaad nahi aa rahi muze....kyonki....