.
Naaraj ho kar, Jara jara si baat par
लेखक
: amba
-
Summary rating: 5 stars
(1 समीक्षा)
-
विजिट्स : 43
-
शब्द:300
-
Comments
:
0
Naaraj ho kar,Jara Jara si Baat Par........
...naaraj ho jaana tumhara...jara jara si baat par,
aaj
bhi yaad aata hai tanahai mein....
kabhi huns kar, to kabhi ro kar,
lagaa hi rehataan hun mere yaa
tumhe bhoolaane ki nakaam koshish mein....
...kuchh pasand hai, kuchh na-pasad hai,
kai prasang jivan ke aise.....
yaad kar kar ke, fir bhoolaane ki kaarigari,
samay gujarata jaa raha hai kuchh aise.....
...mehafilen kai aai gai meri najaro ke saamane,
..par teri mehafil yaadgaar kyon ban gai...
dhoondane par bhi jawaab nahi mila
pawon tale kuchal diye kai jamaane......
aaj achaanak jab tum mili muzse,
mai samaza ki ye tu nahi, yaad hai teri....
nuzase bina nazar milaae,
na kuchh poochhe yaa kuchh bataae,
chhod diya maine tumhe vahin par
..tum fir ruthh kar chali gai kahin...
naaraj ho kar jara jara si baat par...
प्रकाशन तिथि:
मार्च 17, 2009
ambalika के द्वारा और अधिक संक्षेपण
More