Jyoti ka yoddha ki Pandulipi
Summary rating: 5 stars
1 समीक्षा
विजिट्स:
216
शब्द:
600
प्रकाशन तिथि: दिसम्बर 01, 2006
kya aap jivan aur sansar ko ek shishu ke ashchaarya-chakit nazro se dekhte hain? kya aap asafalta ko sadharan dhang se lete hain?Kya aap apne sapno ke liye koi bhi ladai lad sakte hain?yahi sab sawal Paulo ke Manual of the Warrior of Light mein uthaya gaya hain.Yeh adbhut motiyon ka sangrahahamare samai ke ek mahan kahanikar ki srishti hain jo jyoti ke yoddha ke eerd gird ghumti hain.Yeh pandulipi sabse pehle samacher patro mein chapa gaya tha aur us smay uska 'Maktub' ke naam se namankaran hua tha Yeh kahani hain ek gaon ke bacche ka jo ek din samundar ke kinare mein ekanjani aur rahasyamayi naari se milta hain .Woh mahila usladke ko batati hain ki samundar ke neeche ek mandir hain jaha se ghantiyon ka awaaz aata hain.Kaii saalon ke baad wohi nari us ladke ko Jyoti ke yoddha ke baare mein likhne ke liye bolti hain.Kya hain yeh Jyoti ka Yoddha?Ladka us naari ko puchta hain.Us ko woh mahila kahti hain ki yeh yoddha ek aisa shaksh hain jo jiwan ke adbhut pahluo ko samajhta hain,apne lakshya tak pahuchne ke liye sapno ke liye ladai kar saktahain. Woh us ladke ko bolti hain ki usko us yoddha ke jiwan ki seekh ko likhe.Us yoddha ke samast mansik,adhayatmik,saamajik aur mansic ladai, unki haar aur jeet, bhagwan se uske sambhandh,unke bandhuo aur anugaamiyon aur dushman aur yudh me unke kaushalo ka bhi warnan bhi hain.Samay samay par unke jiwan se paaye sikh wiprit gaami hain.yeh islye kyonki jyoti ka yoddha yeh samajhta hain ki unke chaaro taraf sab kuch men parivartan ho sakta hain aur kuch bhi sthir aur stahi nahi hain aur woh har ek paristhiti mein apne aap ko usi ke aurup bana sakte hain.Woh jiwan ke har pahlu ko mukt dimaag se dekhte aur samajhte hain.Paulo Coelho ki jyoti ka yoddha ki Pandulipi ek koshish hain hamare ander jyoti ke yoddha ko khojne ka.