.

The Alchemist

लेखक : Paulo Coelho
Review by : nate
विजिट्स: 364
शब्द: 300
प्रकाशन तिथि: जुलाई 12, 2006
निम्नलिखित भाषा से यह संक्षिप्त लेख अनूदित हुआ The Alchemist
The Alchemist Paulo Coelho dwara likhit upanyaas hei aur Paulo vishwa ke sabse jaayda padhe jaane waale lekhkon mein aaate hein. Unki kuch aur lekhan hein The diary of Magus, The Fifth Window, Eleven Minutes, The Devil and Miss Prym. Lekin, The Alchemist unki sabse bahu charchit kitaab hei. Yeh upanyaas hame ek Andalusian charwaahe ke jaadui safar ke baare mein bataata hei. Weh charwaaha ek sapne mein bahut the dhan dekhtaa hei jo ke Egypt ke Pyramids ke paas chipaa hei aur isi sone kee talaash mein yeh charwaaha nikal padtaa hei jisse ke uski kismat badal jaati hei. Yeh ek aise ladke kee kahani hei jo apne sapno kee jindagi ko haquikat mein badlna chahta hei. Apne safar mein weh Spain mein apne ghar se lekar, Tangiers ke bazaaron mein aur egyptian registan mein ghoomtaa hei jahaan usko ek jaadugar/tantrik miltaa hei. Yahaan weh viswa kee antaratma ke baare mein jaanta hei jo ke bhagwan ne bannayee hei taaki iske dikhne waali chizon ke dwara hum log bhagwan kee bannaye mayavi duniya aur bharwan kee antaratmik shiksha ko behtar samajh sakein. Is mayavi aur chamatkarik kitaab ke har ek panna padhne waale par bahut gehraa aur jeevan ko behtar banaane waala asar chodtaa hei. Yeh kitaab padhne waale ko apne andar kee awaj sunne aur apne sapno ko puraa karne ke liye prabhawit karti hei aur yeh samjhati hei ke agar usme aatmvishwas hei toh weh apni manzil tak zaroor pahunchegaa. Yeh kahaani padhne waalon ke dil ko choo leti hei jo ke ek aam ladke kee apni kismat ko jeevan ke safar mein tallash karne kaa ek prayas hei. Sach mein hee yeh ek prerna dene waali kahaani hei.
The Alchemist  द्वारा  Paulo Coelho     
कृपया इस सार का मूल्यांकन करें : 1 2 3 4 5


टिप्पणियाँ

Read Free Summaries - Write and Get Paid

Summarize Human Knowledge on Shvoong. Join us!

------

Recent Shvoongers

  • ambalika
  • artemissweety
  • Viram
  • yashaswi
  • checkefe
  • dhruva
  • gomsi
  • Kokosia
  • DrAmarKumar
  • ilesh
  • mrinmoy57
  • SHEELADIXIT

.