.

Charlie ki kahani

Summary rating: 1 stars 1 समीक्षा
लेखक : Ajay Saha
Review by : Ajay Saha
विजिट्स : 203  शब्द: 600   प्रकाशन तिथि: अक्तूबर 22, 2005
निम्नलिखित भाषा से यह संक्षिप्त लेख अनूदित हुआ Charlie and the Chocolate Factory
Ye hain Shriman Charlie Bucket.





Inke baare mein kya kaha jaaye ? Inka toota-foota

jhopda


door se hi dikh jaayega, jisme ye apne maata-pita
aur

chaar


bujurgo ke saath rehta ha.Inke jhopde ke paas hi
hai

duniya


ki sabse badi chocolate factory.


Charlie ne hamesha khoosh rehna seekha hai. Uska

pariwar


itna garib hai ki do waqt ki roti bhi badi mushkil
se

mil


paati hai,isliye charlie ko sirf apne janmdin part
hi


chocolate ka bada -sa tukda milta hai.Par Charlie
ne

kabhi


shikayat nahin ki.Ek din barf mein use ek chamkila

chandi


ka sikka mila, jisne uski khushiyon ko doguna kar
diya.





Uski khushi aur barh gai jab usne us sikke se ek

chocolate


kharidi, aur chocolate ki panni ke bhitar use ek
aur


chocolate mili. Doosri baar chocolate kharidne par

jaante


ho use kya mila? Use milk woh paanch
ticketein,jinhe

Willi


Wonka ne jaari kiya tha. Willie Wonka ko nahin
jaante?


Arre, woh duniya ka sabse bada chocolate banane
wala

hai.





Bahut Purani baat hai. Jab jasooso ne uski
chocolates


churani shuru kar di, to use factory bandh karni
padi.


Waise toh factory ke darwaje bandh rehte the, aur
Wonka

ko


phir kisi ne nahin dekha, factory ke andar
chocolate

tab


bhi banayi jaati thi, aur saari duniya ki dukanon
mein


bheji jaati thi. Kisi ko maalunm anhin tha ki usne

factory


mein kise kaam par rakha tha. Par ab woh 5 bachchon
aur

ek


abhibhawak ko factory ghumne ka mauka de raha tha,
5


ticketon ko chocolate ke 5 alag-alag tukdo mein

chhupakar.





Charlie apne Nanaji ke saath factory ghumne gaya,
jinhe


bees saal tak bistar mein pade rehne ke baad laga
ki ab

woh


apne pairon par chal sakte hain.Charlie ne wahaan

anokhi


cheezein dekhi aur ek se badhkar ek swaadisht
chocolate


khayi, aur apne baaki chaar saathiyon ko sharaart
karte

hue


aur gaayab hote dekha. Ant mein woh akela bach gaya.





Ab jaakar Willie Wonka ne Charlie ko apni anokhi
yojna


batayi. Usne jaanbujhkar 5 bachchon ko factory ki

daawat di


thi, taaki woh unme se sabse achhe bachche ko alag
kar

sake


aur use apna uttaridikari baan sake. Charlie jeet
gaya.


Is kitab ka ant hota hai Willie Wonka ke Great
Glass


Elevator mein jisme chadhkar woh sab Charlie ke
ghar

jaate


hain taaki uske pariwar ko ye anokhi kahani suna
sakein.

Charlie ki kahani के बारे में अधिक समीक्षाएं
Charlie ki kahani  द्वारा  Ajay Saha  Shvoong  2005 
कृपया इस सार का मूल्यांकन करें : 1 2 3 4 5


अपनी टिप्पणी जोड़ें कोई टिप्पणी नहीं

टिप्पणियाँ

Read Free Summaries - Write and Get Paid

Summarize Human Knowledge on Shvoong. Join us!

------