श्वूंग होम > पुस्तक > Become a Better You : 7 Keys to Improving Your Life Every Day

.

Become a Better You : 7 Keys to Improving Your Life Every Day

लेखक : Osteen Joel
Review by : RenuRai
विजिट्स: 25
शब्द: 600
प्रकाशन तिथि: मार्च 10, 2008
Kehte hain “Bade bhaag manush tan pawa”. Sach hee hai bhagyawanon ko hee manushya ka shareer milta hai. Yun to prithvi par paida har prani apna jeevan bitane aye hai, per manushya apna jeevan jeene ke liye aur khushiyan batne ke liye prithvi per aya hai.
 
Jeevan jeena bhi ek kala hai. Kuchch log sochte hain jaisa bhi hai sukhi ya dukhi, jeevan jaise-taise bita lange. Kyun? Manav jeevan itna sasta nahi hai ki use kaise bhi guzar liya jaye. Haan! Ye sahi hai ki sukhi ya dukhi hona  manushya ke praarabdh per nirbhar hai. Lekin manushya ko Man, buddhi aur bolne ki kshamta mili hai jo use anya praniyo se bhinna karti hai. Isi buddhi ke sahare wo duniya se joojhta hua zindgi poori karta hai. Lekin sirf yahi zindagi nahi hai. Apke ander atma-vishwas, atma-shakti aur khusiyo ka bhandaar bhara pada hai jise janne ki avashyakta hai.

Become a Better you.. ke lekhak Osteem ne is pustak main bataya ki kaise aap apni zindagi behtar  banaa sakte hai. Unki batai gayi 7 baton per yadi amal karen to aap na sirf her pal khush rah sakenge balki apne under chchipi hui sakaratmak urja ko bhi pehchan sakenge. Yahi urja apko aseemit ichchao ko poora karne mai sahayak hoti hai, isiliye kaha jata hai ki “Manushya apne bhagya ka nirmata aap hai”. Ye urja hamame atma-vishwas bharti hai jisse hame mansik shakti milti hai – hamme dheeraj paida hota hai – jeevan ke prati hamara drishtikon badalta hai aur ham her haal main khush rehna seekh jate hain.

Joel dwara bataye gaye 7 niyamo ka yadi paalan karen to ham janenge ki Manushya ke jeevan main asambhav jaisa kuchch bhi nahi. In niyamo per chalkar manav-jeevan ka moolya samajh kar use khushhaal bana sakenge aur auron ko bhi kushi baant sakenge.
कृपया इस सार का मूल्यांकन करें : 1 2 3 4 5


टिप्पणियाँ

Read Free Summaries - Write and Get Paid

Summarize Human Knowledge on Shvoong. Join us!

------

Recent Shvoongers

  • ambalika
  • artemissweety
  • Viram
  • mrinmoy57
  • DrAmarKumar
  • checkefe
  • dhruva
  • gomsi
  • Kokosia
  • yashaswi
  • SHEELADIXIT
  • ilesh

.