Sai Baba short story
Summary rating: 1 stars
1 समीक्षा
विजिट्स:
74
शब्द:
600
प्रकाशन तिथि: मार्च 07, 2008
We manav-ekta ke liye prayasrat rahe, unki seekhon ka ek matlab hai `Sabka Malik ek''. BEYOND SHIRDI — Stories of the Living Presence of Sai Baba: K. Venkataraman; Bharatiya Vidya Bhavan, Kulapati Munshi Marg, Mumbai-400007. Rup. 135.
Wey 16 saal ki ayu mai shirdi aye. Ishwariya vyaktitva wale Sai Baba wahan aam logon ke beech rehne lage. Ek tooti masjid ko apna ghar banaa liya jise we `Dwarka Mai'' kahte they. Unke nidhan ke baad unke sharirik awsheshon ko Krishna mandir main sanjoya gaya, is mandir ko ab Samadhi Mandir kehte hain. Sai Baba (1838-1918) ko manne wale bahut log hain, Poore hindustan main unke kai bade-bade mandir banaaye gaye hain. Dwarka Mai main Baba dwara ek agni prajjwalit kee gayi thi jise aaj bhi muslimo ne (visheshtah soofion ne jinke liye agni jalaana ek poonya karya hai) aur hinduon ne (Jinhone us jwala ko tyag ka pujari mana) aaj tak us agni ko bujhne nahi diya. Unhone manviya ekta ko prabal mana. Unki saari shikshaon ka ek hee nichod hai `Sabka Malik Ek''. Sai Baba ke jeevan ke bare main kuchch bhi rahsyapoorna nahi hai. Unhone Gaon mai grameenon ke beech sadgi bhara jeevan bitaya aur asheervad ke sath unki madad bhi kee. unhone hamesha zarooratmand ko dene ki baat kahi. Aaj ke adhunik Bharat main unka jeevan ek chamatkar ek jaadu ke roop main samne aya hai.
Sai Baba ke chamtkarik jeevan ke bare jo bataya gaya wo manne yogya hai? Shayad ha, shayad nahi. Lekin inhe sirf kahaniya hee nahi mana ja sakta kyunki ye kahaniya satya aur anubhav par hee adharit hai.
“Experience Beyond Shirdi” pustak ke bare main jo mahatvapoorna hai wo yeh ki lekhak Venkataraman ne Sai Baba ke sath apne anubhavon aur shradhdha ko chchoti-chchoti kahaniyon ke roop main is tarah likha hai ki koi bhi Sai Baba par astha rakhe bina nahi reh sakta. In kahaniyon ke har kirdaar aur unke jeevan main Sai Baba ke darshan kiye ja sakta hai. Sai Baba ke chamatkrit jeevan ke bare main kai rochak ghatnain hain jo Sai Baba main Ishwariya Shakti ko pushta karti hain, Jaise, Prayag ke aughad sanyasi ke anusaar Krishna ka dakshineshwar main Ramlala ka chchota roop dekhna. Ye vishwas tab aur drid ho gaya jab Coimbatore main saap main Sai Baba ki jhalak dekhi. Isi tarah Nalini ne America yatra ke samay apne passport mai Sai Baba ke roop ka abhas kiya, lekin Nalini ne use undekha kar ek badi galti kee. Kisi ne Saibaba ka ishara nahi samjha aur buddhimata is yeh pareeksha ko uttirna nahi kar sakey, Buddhiheen duniya main buddhimatta kee parvah kaun karta hai! Par kum-se-kum hame soofi-santon per poorna vishwas hai aur unki amrit-vani aur unke bataye hue raste per chalkar apne ko surakshit mante hai. 21vee sadi main hame isi tarah ke vishwas kee avashyakta hai jo hum sabko ek-jut rakh sake.