.

Sarvodaya Jagat

Summary rating: 4 stars 1 समीक्षा
लेखक : Sarva Sewa Sangh
Review by : RenuRai
विजिट्स: 21
शब्द: 300
प्रकाशन तिथि: मार्च 06, 2008
BABA AMTE   Murlidhar Devdas Amte jinhe duniya Baba Amte ke naam se janti hai. Baith nahi sakte they ya to kisi ka sahara lekar khade hote ya lete lete hi baat karte they. Shareer se itna asahaya hone ke bavjood unme manav sewa aur desh sewa koot-koot kar bhari thi. Unka jeevan saadgi, tyag, balidan aur atma-vishwas ka prateek tha. Unhone chalees (40) varsh rogi bachchon, apahijon aur aise kustha rogiyo ki sewa kee jinhe koi dekhna bhi pasand nahin karta, unke chehre per muskurat lane ke liye unhone anand van main apna poora jeevan lagaa diya. Anand van ek ujaad jungle aur banjar jagah thi. Jub pahli baar baba Anand-van aye tub unki jeb main they matra 14 rupye (Rs.) aur saath mai 4-5 kushtha rogi aur ek langri gay (cow)!  In teeno ke saath kadi mehnat aur lagan ke saath anand-van kee bhoomi ko upjaoo banaya yahi nahi aisi koi cheese nahi hai jo anand-van mai paida nahi hoti ho. Unki Ichcha shakti hee thi jo maharashtra ke sookhe ki stithi mai bhi anand-van haraa-bharaa tha. Sewa karya kee avadhi main hee, anand-van apne beton ko saupkar unhone ek Bharat-Jodo yatra nikali jiska uddeshya desh ki yuva-shakti ko jodna tha kyuki wo mante the ki yuva-shakti hee desh ki asli shakti hai aur ashaanti ke samay is shakti ko sahi dish dikhakar shanti layee ja sakti hai varna kanoon dwara shanty lana mushkil hai. Baba Amte Gandhi-darshan ke anuyayi the. Megha Patkar ke Narmada Andolan main bhi unhone badchad kar hissa liya. Kai rashtriya aur Antarrashtriya puraskaro se sammanit baba ek  achche sahityakar bhi they. Swayam ki reed mai samasya hone par bhi unhone desh ki reed ko niswarth bhav se jode rakhne ka prayas kiya jo samajik karyakartaon ke liye apnane yogya ek badi achchi missal hai.
Sarvodaya Jagat  द्वारा  Sarva Sewa Sangh    2008 
कृपया इस सार का मूल्यांकन करें : 1 2 3 4 5


टिप्पणियाँ

Read Free Summaries - Write and Get Paid

Summarize Human Knowledge on Shvoong. Join us!

------

Recent Shvoongers

  • ambalika
  • artemissweety
  • Viram
  • mrinmoy57
  • DrAmarKumar
  • checkefe
  • dhruva
  • gomsi
  • Kokosia
  • yashaswi
  • SHEELADIXIT
  • ilesh

.