Jinhe Buddhism main ruchi hai vo is nai pustak ka khuli bahoon se swagat karenge, jiske lekhak Stephen Batchelor jo ki ek mathadhari reh chuke hain aur jo
Alone With Others and the Awakening of the west ke lekhak bhi hain.Par jinhone abhi abhi Buddhism ka swad chakha hai, ,jo ki lokpriyata ki sidhiyaan chadhta hi jaa raha hai, unhe isse kafi kuchh jaane ko, seekhne ko milega kyon ki unhone apni is pustak main buddhism ka aisa thos or satik parichaya diya hai ,use ughara hai ,aor sidhe or saaf shabdon main ye samjhaya hai ki kis tarah budhhism ko vayvhaar main laane se humara jeevan aor bhi uchya,dhanya ho sakta hai.Sidhanton or shabdon ke jaal ko dar kinar kar Btachelor ne buddhism ke mul tatva par dhyan dete hue,use sugam aur logon ko mrigdh kar dene wala bataya hai,ye darshaya hai ki kis tarah kisi bhi jaati ya dharam se sambandhit koi bhi vyakti buddhism ki rah par chal sakta hai.
Vishwas ke abhav main Buddhism के बारे में अधिक समीक्षाएं