.

maan ke jeete jeet

Summary rating: 5 stars 37 समीक्षा
लेखक : Sheetal
Review by : Lukshmi Chouhan
विजिट्स : 1259  शब्द: 300   प्रकाशन तिथि: फरवरी 17, 2006
kisi ne sach he kaha hai - maan ke hare haar , maan ke jete jeet: ise hume vartmaan paridrishiya mei dekhnaa chahie , kyonki aaj kaa yug tanaav kaa yug hai; roj humaara samana ek nae tnaav se hota hai; apnaa astitva banaae rakhne ke liye hum kai tarah ke tanaav jhelane ko majboor hai: isse vyakti tanaav , chinta, duvidha, niraashaa, krodh aadi se ghira rahataa hai:
jab yeh tanaav sthai roop se hamare jivan ka hissa ban jaataa hai to maan kaa swasthya bigadane lagataa hai; iska asar humare sharir par bhi padataa haiaur tanaavgrast maan ke sath taan bhi aswasth ho jaataa hai; safalataa milne par taan ki mthakaan chu-mantar ho jaati hai; lekin asafalataa awsaad badhaa deti hai, jaise sharirik thakaan kai guna badh jaati hai:
jab hum maan se thakaan karte hai, to jivan ka veg mand pad jaataa hai; nai paristhitiyo va nai samasyaayo kaa samnaa karne ke bajaay hum apne kadam peche khicne lagte hai; dusro shabdo mei hum nirashavaadi ho jate hai; aisi awastha mei vyakti jivan ka samuchit aanand nahi utha paataa ; gita ke anusaar " vahi vyakti akhand anad ko prapt kar saktaa hai jise maansik vyathaa nahi hoti, jiske maan ko paristhitiyo kaa spars sukhi yaa dukhi nahi banaa sakataa; sachcha anand prapt karane ke liye maansik roop se hume poori tarah swasth hona jaruri hai;
sakaraatmak soch va aashawadi dristikon rakhane vaale , pratyek pristhiti ko apne pax mei mod lete hai; jiske savbhav mei nirashaa smaa gai ho , jo maan se thak chukaa ho , nirashaa kaa andhera uski raah rokne lagataa hai; is andhere ko door karane ke liye utsaah aur rachnaatmak soch jaruri hai taaki nirashaa ki jadataa se mukabalaa kiya jaa sake:

maan ke jeete jeet के बारे में अधिक समीक्षाएं
maan ke jeete jeet  द्वारा  Sheetal     
कृपया इस सार का मूल्यांकन करें : 1 2 3 4 5


अपनी टिप्पणी जोड़ें कोई टिप्पणी नहीं

टिप्पणियाँ

Lukshmi Chouhan के द्वारा और अधिक संक्षेपण

More

Read Free Summaries - Write and Get Paid

Summarize Human Knowledge on Shvoong. Join us!

------